Anwaare Muhammad Se Hai Chaand Ki Zebaayi

Anwaare Muhammad Se Hai Chaand Ki Zebaayi
Sarkaar Ke Zulfon Se Phoolon Ne Mehek Paayi

Qur’an Ki Har Soorat Soorat Hai Muhammad Ki
Hai Unke Tabassum Ki Har Lafz Me Raanaayi

Taskeen Hai Tanno’ Hai Anwaar Hai Rehmat Ke
Lagta Hai Madine Mein Jannat Hai Utar Aayi

Kaunain Ka Har Zarra Hai Peshe Nazar Unke
Hai Unki Nigahon Mein Har Rif’at o Panhaayi

Koi Bhi Siwa Unke Mursal Hai Na Paighambar
Ho Jiski Adaaon Ki Khaliq Ne Qasam Khayi

Gulshan Ho Sitaare Ho Mehtaab Ho Kaliyan Ho
Mehboob Ki Khatir Hai Sab Anjuman Aarayi

Sarkaare Do Aalam Ka Jab Naam Liya Saaim
Parbat Tha Jo Mushkil ka Ek Pal Me Bana Raayi