Saara Jahaan Hai Noor Mein Dooba Saari Fiza Hai Raushan Raushan
Kamli Waale Ki Aamad Par ‘Kohe Safa’ Hai Raushan Raushan
Aamina Ke Hujre Ki Jaanib Taare Sajda Rez Hai Saare
Wadi e Makka Ka Har Zarra Aur Hawa Hai Raushan Raushan
Liye Durood Salaam Ke Gajre Hoorein Naate Padhti Aayi
Har Ek Cheez Ko Noore Nabi Ne Khoob Kiya Hai Raushan Raushan
Shab Ko Chand Subah Ko Suraj Raushni De Kar Chup Jaate Hai
Aamina Ka Khursheed o Qamar Par Subh o Masaa Hai Raushan Raushan
Padha Salaam, Qayaam Mein Humne Isse Pehle Paak Nabi Par
Arsh Ke Jaanib Jaane Wali Apni Dua Hai Raushan Raushan
Hum Duniya Ke Andhe Dastooron Mein Kyun Hai Khoye Phirte
Jab Sarkaar Ne Qur’ani Dastoor Diya Hai Raushan Raushan
Noor Se Unke Wadi Wadi Chamak Rahi Hai Damak Rahi Hai
Jable Noor Hai Raushan Raushan Gaare Hira Hai Raushan Raushan
Saaim Noor Ki Bazm Saji Hai Noor Ki Chaadar Paak Tani Hai
Jo Bhi Aap Ki Bazm Mein Aaya Ho Ke Raha Hai Raushan Raushan