Hai Saf Aara Sab Hoor o Malak

Hai Saf Aara Sab Hoor o Malak

Aur Ghilma Khuld Sajaate Hai
Ik Dhoom Hai Arshe Aazam Par
Mehmaan Khuda Ke Aate Hai

Hai Aaj Falak Raushan Raushan
Hai Taare Bhi Jagmag Jagmag
Mehboob Khuda Ke Aate Hai
Mehboob Khuda Ke Aate Hai

Qurban Ye Shaano Azmat Ke
Soye Hai Chain Se Bistar Par
Jibreel Ameen Hazir Hokar
Meraj Ka Muzda Sunate Hai

Ye Izzo Jalaal Allah Allah
Ye Aujo Kamaal Allah Allah
Ye Husno Jamaal Allah Allah
Meraj Ka Dulha Jaate Hai

Imaano Tasawwur Me Dekho
Asra Ke Dulha Ka Jalwa
Jhurmut Me Malaaik Leke Inhe
Meraj Ka Dulha Banate Hai

Aqsa Me Sawari Jab Pohchi
Jibreel Ne Badh Kar Kahi Takbeer
Nabiyon Ki Imaamat Ab Badh Kar
Sultaane Jahan Farmaate Hai

Woh Kaisa Haseen Manzar Hoga
Jab Dulha Bana Sarwar Hoga
Ushshaaq Tasawwur Kar Kar Ke
Bus Rote Hi Reh Jaate

Ye Shah Ne Paayi Sa’aadat Hai
Khaliq Ne Ata Ki Ziyaarat Hai
Jab Ek Tajalli Padti Hai
Musa To gash Kha Jaate Hai

Jibreel Theher kar Sidra Par
Bole Jo Badhe Hum Ek Qadam
Jal jaayenge Saare Baalo Par
Ab Hum to Yahi Reh Jaate Hai

Allah Ki Rehmat Se Dilbar
Ja Pohche Danaa Ki Manzil Par
Allah Ka Jalwa Bhi Dekha
Deedar Ki lazzat Paate Hai

Jibreel Burraq Saja Kar Ke
Firdause Baree Se Le Aaye
Baaraat Farishton Ki Aayi
Meraj Ko Dulha Jaate Hai

Hai Khuld Ka Joda Zaibe Badan
Rehmat Ka Saja Sehra Sar Par
Kya Khoob Suhana Hai Manzar
Meraj Ko Dulha Jaate Hai

Hai Khoob Fiza Mehki Mehki
Chalti Hai Hawa Thandi Thandi
Har Samt Sama Hai Noorani
Meraj Ko Dulha Jaate Hai

Meraj Ki Shab To Yaad Rakha
To Hashr Mein Kaise Bhoolenge
Attaar Isi Ummeed Pe Hum
Din Apne Guzaare Jaate Hai