Balaghal Ula Bi Kamaalihi
Kashafadduja Bi Jamaalihi
Hasunat Jami’u Khisaalihi
Sallu Alaihi Wa Aalihi
Kahee(n) Koi Aisi Jagah Nahi
Jaha Mustafa Ka Nishaa(n) nahi
Na Makaa(n) Hi Aisa Mila Kahee(n)
Mera Kamli Wala Jaha Nahi
Ye Raza Ka Nukte Kamaal Hai
Dare Mustafa Hai Dare Khuda
Jo Waha Se Ho Yahi Aake Ho
Jo Yaha Nahi To Waha Nahi
Nahi Dil Mein Ishqe Rasool To
Teri Kaafiraana Hai Har Adaa
Na Namaaz Teri Namaaz Hai
Ye Azaan Teri Azaa(n) Nahi
Waha Aasuon Ki Hain Baarishen
Hai Fiza Mein Khanki Bhari Hui
Jo Samaa(n) Hai Shehre Rasool Mein
Kahee(n) Aur Aisa Samaa(n) Nahi
Mai Nisaar Taiba Ke Chaand Par
Mai Nisaar taiba Ke Husn Par
Yahi Sheher Shehre Bahaar Hai
Jahaa Ik Ghadi Bhi Khiza Nahi
Hai Ilaaje Aasiyaa(n) Aye Aasiyon
Dare Mustafa Ki Taraf chalo
Dare Mustafa Ke Siwa Kahee(n)
Nahi Aasiyon Ko Amaan Kahee(n)
Yahi Zindagi Ka Nishaan Hai
Karen Zikr Saaim Huzoor Ka
Jo Na Mehwe Zikre Habeeb Ho
Wo Hayaate Qalb o Zabaa(n) Nahi