Auj e Rif’at Pe Jahan Sarware Do Raah pohche
Nahi Mumkin Ke Waha Koi Bhi Insaan Pohche
Jis Jagah Hazrate Jibreel Ke Par Jalte Hai
Us Bulandi Pe Mere Aaqa e Zeeshan Pohche
Ambiya Behre Ziyaarat The Khade Aqsa Mein
Leke Afwaaj e Malak Jab shahe Shaaha Pohche
Wada e Bakhshish e Ummat Kiya Rab Ne Inse
Leke Ummat Ka Woh Jab Daftare Isyaa Pohche
Saire Atraaf e Huqoomat Mein Ho Jaise Haaqim
Saire Aflaak Pe Yoon Dhar Ke Woh Sultaan Pohche
Khuld Tak Haath Ki Unki Hai Rasaayi Tayyib
Bas Woh Aizaaz Tha Jab Ban Ke Woh Mehmaan Pohche