Sunni Musalmaan Mai Sunni Musalmaan Lyrics

Sunni musalman mai Sunni musalman
Har Sarwar- e-kaunain pe qurbaan meri jaan.

Sarkaar e Madina mere har gham ka sahara
Mai Gaus ke tukdo pe hi karta hoon guzaara
Jau kabhi Baghdad Madina yahi armaan
Sunni musalman mai Sunni musalman
Haa chumta hoon naame Muhammad pe angootha
Aur maanta hoon taiba ko mai arsh ka zeena
Hai ishqe Muhammad me salaamat mera imaan.
Sunni musalman mai Sunni musalman
Waliyon ke naam se main dilaata hu Fateha
Bachchon ko sunata hu main karbal ka waakeya
Ai najdi mujhe dekh kar kyun hota hai hairaan.
Sunni musalman mai Sunni musalman
Ye shaan meri hai ki Ghulam-E-Rasool hoon
Allah ke Rasool pe padhta durood hoon
Padta hoon mai salaam yahi hai meri pehchan.