Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Aye Arze Madina Salle Ala
Tera Rutba Subhan Allah
Hai Tere Andar Jalwa Numa
Wo Shahe Rasool Mehboob E Khuda
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Aye Fakhre Zaman Aye Fakhre Zamaa
Aye Fakhre Watan Aye Fakhre Jahaa
Aye Fakhre Chaman Aye Fakhre Jinaa
Aye Fakhre Kaba Wo Arsh Ula
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Is Aalam Me Bartar Hai Tu Hi
Sab Dharti Se Behtar Hai Tu Hi
Har Fazal Me Bhi Badh Kar Hai Tu Hi
Aye Koochaye Sarkar E Bat-ha
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Qudrat Ka Tu Hi Hai Intekhaab
Har Wasf Tera Hai Lajawab
Khud Khaye Qasam Ye Rab Ki Kitab
Is Sheher Se Guzre Hai Aaqa
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Unka Ye Haram Deewaro Dar
Ye Khuld Ki Kyari Noor E Nazar
Is Masjid E Nabawi Ka Manzar
Zarrey Zarrey Me Noor Basa
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Kaha Misl Tera Kaha Teri Misaal
Bakhsha Hai Khuda Ne Tujhko Jamaal
Aye Khake Madina Tera Kamaal
Aaqa Ke Kadmo Ko Chooma
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Ho Tujh Pe Durood Ho Tujh Pe Salam
Hai Tujh Me Wo Nabiyo Ka Imam
Aate Hai Malayak Beher E Salam
Sattar Hazaar Subho Masa
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Kya Azmat Aur Kya Shaan Teri
Bu Bakr O Umar Usmaan E Gani
Rehte The Yahi Pe Maula Ali
Ye Sharf Hai Kis Basti Ko Mila
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Jalwe Ye Tere Ye Teri Bahaar
Hai Tujhme Sahaba Dus Hazaar
In Ahle Baqi Pe Jaau Nisaar
Aaqa Ko Jinho Ne Hai Deykha
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Jannat Me Kaha Wo Soozo Gudaaz
Tadpaati Hai Ye Yaad E Hijaaz
Hai Hijro Firaak Ka Isme Raaz
Aashiq Ki Tadap Aashiq Ki Sada
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Ye Jable Uhood Hai Kitna Haseen
Jannat Me Ye Jaaye Hai Yakeen
Mere Sayyedi Hamza Yahi Maki
Hai Sath Me Ye Sattar Shohoda
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Aye Khake Madina Tu Hi Bata
Jaaye To Kaha Hum Jaaye Bhala
Jab Tujh Se Hume Sab Kuch Hai Mila
Keu Tujh Pe Kare Na Jaan Fida
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba
Chahe Ho Kahi Iska Maskan
Kismat Se Mile Isko Madfan
Sayyed Ko Karo Taiba Me Dafan
Is Khak Ka Ye Bhi Hai Mangta
Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba Ya Taiba