Mujh ko bhi kash Gumbade khazra dikhayi de
Benoor ankh se bhi ujaala dikhayi de
Thodi si der ko mujhe beenayi chahiye
Bas ek jhalak Huzoor ka
Rauza dikhayi de
Mujh ko bhi kash Gumbade khazra dikhayi de
Benoor ankh se bhi ujaala dikhayi de
Ya Rab ata ho mujh ko woh makhsoos raushni
Uthe jidhar nigaah Madina dikhayi de
Mujh ko bhi kash Gumbade khazra dikhayi de
Benoor ankh se bhi ujaala dikhayi de
Jaagu to sirf unke khayaalo me gum rahu
So jau to faqat rukhe Aaqa dikhayi de
Mujh ko bhi kash Gumbade khazra dikhayi de
Benoor ankh se bhi ujaala dikhayi de
Wo sheher jiska naam to Kaaba nahi magar
Galiyon me jis ki Raunaqe Kaaba dikhayi de
Mujh ko bhi kash Gumbade khazra dikhayi de
Benoor ankh se bhi ujaala dikhayi de
Iqbal apni chashme baseerat se kaam lo
Ye kya zaroor ankh se Rasta dikhayi de