Kaun Kehta Hai Aankhen Chura Kar Chale Naat Lyrics

Kaun Kehta Hai Aankhen Chura Kar Chale
Kab Kisi Se Nigahe Bachaa Kar Chale

Kaun Unse Nigahe Lada Kar Chale
Kis ki Taaqat Hai Jo Aankhen Milaa Kar Chale

Rab Ke Bandon Ko Rab Se Mila Kar Chale
Jalwa e Haq Woh Hum ko Dikhaa Kar Chale

Jagmaga Daale Galiya(n) Jidhar Aaye Woh
Jab Chale Wo To Kooche Basaa Kar Chale

Koi Maane Na Maane Ye Wo Jaan Le
Seedha Raasta Wo Sab ko Bataa Kar Chale

Badd Se Badd Ko Liye Jis ne Aagosh Me
Kab Kisi Se Wo Daaman Bachaa Kar Chale

Jo Kameene The Unko Mu’azzaz Kiya
Wo Razeelo Ko Seene Lagaa Kar Chale

Jism Par Noor Ka Yoon To Saaya Na Tha
Aur Patthar Me Naqshe Jamaa Kar Chale

Marte Dam Sar Dar E Paak Par Rakh Diya
Is Adaa Se Kaza Hum Adaa Kar Chale

Kisi Jaanib Se Aayi Nida e Huzoor
Mujrimo Ki Rihaayi Ka Kya Kar Chale

Daagh e Dil Hum ne Noori Dikha Hi Diya
Dard e Dil Ka Fasaana Sunaa Kar Chale