Tu Shamme Risalat Hai Aalam Tera Parwana
Tu Maahe Nubuwwat hai Aye Jalwaye Jaanaa na.
Khate hai tere dar ka, peete hai tere dar ka
Paani hai tera paani, daana hai tera daana
Paani hai tera paani, daana hai tera daana
Sar shar hame karde, ek jaame labaa lab se
Ta hashr rahe saaqi, aabad ye maikhana
Dil apna chamak utthe, Iman ki tal‘at se
Kar aanken bhi Noorani, Ay Jalwa e jaanana
Har phool me boo teri, har shamma me zau teri
Bulbul hai tera bulbul, parwana hai parwana
Tum aayi chati bazi, ronak huwi phir tazi
Kaaba huwa phir kaaba, Kar dala ta but khana
Is dar ki huzoori hi, isiya ki dawa thehri
Hai zehr e ma’asi ka, Taiba hi shifa khana
Gir padh ke yahan pohchan, mar mar ke ise paaya
Chhoote na illahi ab, sange dare jaanana
Sange dare jaana par, karta hu jabi saai
Sajda na samaj najdi, oh najdi Sar de ta hu nazrana
Sarkar ke jalwon se, roshan hai dile Noori
Taa hashr rahe roshan, Noori ka ye kaashana.