Hai paak rutba fikr se us beniyaaz ka
Kuch dakhl aql ka hai na kaam imtiyaaz ka
Lab band aur dil mein woh jalwe bhare huwe
Allah re jigar tere aagaahe raaz ka
Gash aa gaya kaleem ko mushtaaqe deed se
Jalwa bhi be niyaaz hai us beniyaaz ka
Har shay se hain ayaa(n) mere saane’ ki san-ate
Aalam sab aainon mein hai aaina saaz ka
Aflaako arz sab tere farmaa(n) pazeer hain
Haakim hai tu jahaa(n) ke nashebo faraaz ka
Is bakasi mein dil ko mere tek lag gayi
Shohra suna jo rehmate bekas nawaaz ka
Maaninde sham’a teri taraf lau lagi rahe
De lutf mere jaan ko sozo gudaaz ka
Tu be hisaab bakhsh ki hain be shumaar jurm
Deta hoon waasta tujhe shaahe hijaaz ka
Bande pe tere nafse laee(n) ho gaya muheet
Allah kar ilaaj meri hirso aaz ka
Kyun kar na mere kaam banein ghaib se Hasan
Banda bhi hoon to bade kaar saaz ka