Khwaja e Hind Woh Darbaar Hai Aala Tera manqabat Lyrics

Khwaja e Hind Woh Darbaar Hai Aala Tera
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera

Khuftgane Shabe Ghaflat Ko Jagaa Deta Hai
Saalha saal Wo Raato Ka Na Sona Tera

Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera

Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Aye Abre Karam Zor Barasna Tera

Kya Mahak Hai Ki Mu’attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta e Gulshan e Firdaus Hai Rouza Tera

Tujh me Hai Tarbiyate Khizr Ke Paida Aasaar
Bahro Bar Me Hume Milta Hai Sahara Tera

Zille Haq Ghous Pe Hai Ghous Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sare Khuddam Pe Saaya Tera

Tujh ko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan e Rafe’a
Dang Reh Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera

Kyo Na Baghdad Me Jaari Ho Tera Chashma e Faiz
Bahre Baghdad Hi Ki Nahar Hai Dariya Tera

Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sar Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera

Muhiyyudeen Ghous Hai aur Khwaja Moinuddeen hai

Aye Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera.