Aaj ashk mere naat sunaye to ajab kya
Sun kar woh mujhe paas bulaye to ajab kya
Deedar ke qaabil to kaha meri nazar hai
Lekin woh kabhi khwaab me aaye to ajab kya
Un par toh ghunahgaar ke sab haal khule hai
Is par bhi woh daaman me chupaye to ajab kya
Munh dhaanp ke rakhna ke ghunahgaar bohot hu
Maiyat ko meri dekhne aaye toh ajab kya
Na zaade safar hai na koi kaam bhale hai
Lekin mujhe Sarkar bulaye to ajab kya
Haasil jinhe Aaqa ki ghulami ka sharaf hai
Thokar se woh murdo ko jilaaye to ajab kya
Woh Husne Do Aalam hai Adeeb unke karam se
Sehra me agar phool khilaye to ajab kya
Yeh Nisbate Shah e Madani aur yeh aansoo
Mehshar me ek gham se chudaye to ajab kya
Main aisa khatawar hu kuch hadh bhi nahi jiski
Phir bhi mere aibo ko chupaye to ajab kya
Paaband nawa to nahi faryaad ki rasme
Yeh ishq mera haal sunaye to ajab kya