Mazhare Sirre Wahdat Pe Laakhon Salaam
Mambaye Har Fazeelat Pe Laakhon Salaam
Sadre Bazme Nabuwwat Pe Laakhon Salaam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam
Sham’e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam
Taajdaare Shafa’at Pe Raushan Durood
Us Saraapa Hidaayat Pe Raushan Durood
Behre Joodo Sakhawat Pe Raushan Durood
Mehre Charkhe Nabuwwat Pe Raushan Durood
Gule Baaghe Risaalat Pe Laakhon Salaam
Baa’ise Khalqe Kul Sarware Mohtaram
Markaze Ilm o Iklaaq o Hilm o Hikam
Sayyade Ambiya Sarwe Baaghe Karam
Shehre Yaare Iram Taajdaare Haram
Nau Bahaare Shafa’at Pe Laakhon Salaam
Dono Aalam Ke Aaqa Pe Daayim Durood
Be Panaaho Ke Mawaa Pe Daayim Durood
Shafaye Roze Uqba Pe Daayim Durood
Shabe Asra Ke Dulha Pe Daayim Durood
Nausha e Bazme Jannat Pe Laakhon Salaam
Jhuk Gaye Jis Ke Qadmon Pe Shaahon Ke Sar
Jis Ki khaatir Khule Aasmanon ke Dar
Arsh Par Jo Huwe Shaan Se Jalwagar
Saahibe Raj’ate Shams o Shaqqul Qamar
Naaibe Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam
Noor Se Jis Ke Hai Khalq Ki Ibteda
Zaat Waali Risaalat Ki Hai Inteha
Rehmate Aalamee(n) Wasf Jis Ka Huwa
Jis Ke Zere Liwa Aadam o Man Siwa
Us Sazaaye Sayaadat Pe Laakhon Salaam
Sayyade Awalee(n) Sayyade Aakhiree(n)
Saadiq o w’ad Mehboob e Haq o Yaqee(n)
Sarware Ambiya Khatimul Mursalee(n)
Arsh Ta Farsh Hai Jis Ke Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhon Salaam
Hashr Mein Jis Ko Haasil Hui Dast-ras
Bebasi Par Kisi Ka Nahi Aaj Bas
Bebason Ke Liye Zaate Waala Hai Kas
Khalq Ke Daad-ras Sab Ke Fariyaad-ras
Kahfe Roze Museebat Pe Laakhon Salaam
Ne’mate Deen o Duniya Ki Jis Se Mili
Zulmate Jin Se Qufr o Tagiyaa(n) Ki Miti
Amn Ki Jis Ke Sadqe Hawaye Chali
Jis Ke Jalwe Se Murjhayi Kaliyan Khili
Us Gule Paak e Mambat Pe Laakhon Salaam
Jis Ka Roo e Mubarak Hua Wad-duha
Jis Ke Dandaa(n) Se Wash Shams Hai Ziya
Jis Ke Gesu Pe Wal Lail Saadiq Hua
Wasf Jis Ka Hai Aainaye Haq Numa
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakhon Salaam
Jis Ki Haibat Se But Aundhe Muh Gir Padhe
Jis Ke Farmaan Par Ped Kalma Padhe
Jaanwar Jis Ke Qadmon Pe Sajda Kare
Jis Ke Aage Sar e Sarwara Kham Rahe
Us Sar e Taaje Rif’at Pe Laakhon Salaam
Nafsi Nafsi Jis Ka Jis Dam Ho Har Simt Daur
Bebasi Par Har Ek Apni Karta Ho Gaur
Dast e Rehmat Pe Leke Shafa’at Ka Taur
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam
Tu Bhi Burhaan Ho Shaykh Ka Humnawa
Eid ul Islaam Ke Saath Us Jaa Khada
Jis Ki Nisbat Mere Shaykh Ne Ye Kaha
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haan Raza
Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam