zamaana taareek ho raha hai ki meher kab se niqaab mein hai
Nahi(n) woh meethi nigaah wala Khuda ki rehmat hai jalwa farma
gazab se unke Khuda bachaaye jalaale Baari itaab mein hai
Jali jali boo se uski paida hai sozishe ishqe chashme wala
kabaabe aahoo mein bhi na payaa maza jo dil ke kabaab mein hai
Unhi(n) ki boo maaya-e-saman hai unhi(n) ka jalwa chaman chaman hai
unhi se gulshan mehek rahe hain unhi(n) ki rangat gulaab mein hai
Teri jilau mein hai Maahe Taiba hilaal har margo zindagi ka
hayaat jaa(n) ka rikaab mein hai mamaat aa’daa ka daab mein hai
Siyaah libaasaane daare duniya wa sabz poshaane arshe aa’la
har ik hai unke karam ka pyaasa ye faiz unki janab mein hai
Woh gul hai labhaaye naazuk un ke hazaaro(n) jhadte hain phool jin se
gulab gulshan mein dekhe bulbul ye dekh gulshan gulaab mein hai
Jali hai soze jigar se jaa(n) tak hai taalibe jalwaye mubaarak
dikha do woh lab ki aabe haiwaa(n) ka lutf jin ke khitaab mein hai
Khade hai munkar nakeer sar par na koi haami na koi yaawar
bataa do aakar mere Payambar ki sakht mushkil jawaab mein hai
Khudaye Kahhaar hai ghazab par khule hain badkaariyaa(n) ke daftar
bachalo aakar Shafi’-e-Mehshar tumhara banda azaab mein hai
Kareem aisa mila ki jiske khule hain haath aur bhare khazaane
bataao aye mufliso ki fir kyun tumhara dil iztiraab mein hai
Gunah ki taareekiyaa(n) yeh chaayi umand ke kaali ghataaye aayi
Khuda ke khursheed mehr farma ki zarra bas iztiraab mein hai
Kareem apne karam ka sadqa laeeme be qadr ko na sharma
tu aur Raza se hisaab lena Raza bhi koi hisaab mein hai