Jo tera tifl hai kaamil hai Ya Gaus
Tufaili ka laqab waasil hai Ya Gaus
Tasawwuf tere maktab ka sabaq hai
Tasarruf par tera aamil hai Ya Gaus
Teri saire Ilallah hi hai fillah
Ki ghar se chalte hi moosil hai Ya Gaus
Tu noore awwalo aakhir hai Maula
Tu khaire ‘aajilo aajil hai Ya Gaus
Malak ke kuch bashar kuch jinn ke hai peer
Tu Shaikhe ‘aali wa saafil hai Ya Gaus
Kitaabe har dil aasaare ta-arruf
Tere daftar hi se naaqil hai Ya Gaus
Futoohul ghaib agar roshan na farmaye
Futoohaato fusoos aafil hai Ya Gaus
Tera mansoob hai marfoo’a us jaa
Izaafat raf’a ki aamil hai hai Ya Gaus
Tere kaami mashaqqat se baree hain
Ki bartar nasb se faail hai Ya Gaus
Ahad se Ahmed aur Ahmed se tujh ko
Kun aur sab kun makun haasil hai Ya Gaus
Teri izzat teri rif’at tera fazl
Bi fadhlih afzalo faazil hai Ya Gaus
Tere jalwe ke aage mintaqa se
Maho khur par khate baatil hai Ya Gaus
Siyaahi maail uski chaandni aayi
Qamar ka yoon falak maail hai Ya Gaus
Tilaaye mehr hain taksaal baahar
Ki khaarij markaze haamil hai Ya Gaus
Tu barzakh hai ba range noone minnat
Do jaane muttasil waasil hai Ya Gaus
Nabi se aakhiz aur ummat pe faaiz
Udhar qaabil idhar faail hai Ya Gaus
Nateeja hadde ausat gir ke de aur
Yaha(n) jab tak ki tu shaamil hai Ya Gaus
Ala-too-baala-kum hai woh ki jin ka
Shabana roz wirde dil hai Ya Gaus
Ajam kaisa arab hil kya haram mein
Jamee har jaa teri mehfil hai Ya Gaus
Hai sharhe isme al qaadir tera naam
Yeh sharha us matan ki haamil hai Ya Gaus
Jabeene jubba farsaaee ka sandal
Teri deewar ki kahgil hai Ya Gaus
Baja laaya woh amre saarioo ko
Teri jaanib jo musta’jil hai Ya Gaus
Teri qudrat to fitriyyaat se hai
Ki Qaadir naam mein daakhil hai Ya Gaus
Tasarruf waale sab mazhar hain tere
Tu hi us parde mein faail hai Ya Gaus
Raza ke kaam aur ruk jaaye(n) haasha
Tera saail aur tu baazil hai Ya Gaus