Dil ko unse Khuda judaa na kare
Bekasi loot le Khuda na kare
Is me Rauze ka sajda ho ki tawaaf
Hosh mein jo na ho who kya na kare
Ye wohi hain ki baksh dete hain
Kaun in jurmo(n) par saza na kare
Sab tabeebo ne de diya hai jawaab
Aah Isaa agar dawa na kare
Dil kaha(n) le chala Haram se Mujhe
Are tera bura Khuda na kare
Uzr umeede afw gar na sune(n)
Roo siyah aur kya bahana kare
Dil mein rausahn hai shama-e ishqe Huzoor
Kaash joshe hawas hawa na kare
Hashr mein hum bhi sair dekhenge
Munkir aaj unse iltijaa na kare
Zau’f maana magar yeh zaalim dil
Unke raste mein to thaka na kare
Jab teri khoo hai sab ka jee rakhna
Wohi achcha jo dil bura na kare
Dil se ik zauqe mai ka taalib hoon
Kaun kehta hai ittiqa na kare
Le Raza sab chale Madine ko
Main na jaaoon are Khuda na kare