Tu hai woh Gaus ke har Gaus hai shaida tera
Tu hai woh gais ki har gais hai pyasa tera
Suraj aglo ke chamakte the chamak kar dube
Ufuqe noor pe hai mehar humesha tera
Murg sab bolte hain bolke chup rehte hai
Haan aseel ek nawasanj rehega tera
Jo wali qabl the ya baad huye ya honge
Sab adab rakhte hai dil me mere aaqa tera
Tu hai naushah baraati hai ye saara gulzaar
Layi hai fasle saman goondh ke sehra tera
Daaliyan jhumti hai raqse khushi josh pe hai
Bulbule jhulti hai gaati hai sehra tera
Geet kaliyon ki chatak gazle hazaron ki chahak
Bag ke saajo me bajta hai tarana tera
Safe har shajra me hoti hai salami teri
Shaakhe jhuk jhuk ke baja laati hai mujra tera
Kis gulistan ko nahi fasle bahari se niyaaz
Kaun se silsile me faiz na aaya tera
Nahi kis chaand ki manzil me tera jalwaye noor
Nahi kis aaine ke ghar me ujaala tera
Raaj kis shehar me karte nahi tere khuddaam
Baaj kis nehar se leta nahi dariya tera
Mazraye chisht o Bukhara wa iraqo ajmer
Kaun si kisht pe barsa nahi jhaala tera
Aur Mehboob hain, ha par sabhi yaksa to nahi
Yu to Mehboob hai har chahne wala tera
Usko so fard sarapa ba faragat odhe
Tang ho kar jo utarne ko ho neema tera
Gardane jhuk gayi sar bich gaye dil laut gaye
Kasfe saaq aaj kaha ye to qadam tha tera
Taaje farqe urafa kis ke qadam ko kahiye
Sar jise baaj de woh paau hai kiska tera
Sukr ke josh me jo hain woh tujhe kya jaane
Khizr ke hosh se pooche koi rutba tera
Aadmi apne hi ahwal pe karta hai qiyas
Nashe walo ne bhala sukr nikala tera
Who to choota hi kaha chahe ki hai zere hazeez
Aur har auj se unchaa hai sitara tera
Dile aa’da ko Raza tez namak ki dhun hai
Ek zara aur chidakta rahe khama tera