Khwaja ne jise chaha deewana bana dala
Jis Jis pe nazar dali mastana bana dala
Ek Qais ko laila ne deewana bana dala
Tum ne to jise chaha deewana bana dala
Khwaja ki nigaho ka andaaz ajab dekha
Farzaan ko ek pal me deewana bana dala
Khwaja ne mere dil ko deewana bana dala
Khud shamma bane mujhko parwana bana dala
Khwaja ki muhabbat ne deewana kiya kaisar
Deewane se phir mujhko farzana bana dala
Paimanaye wehdat ka ek ruks e musalsal hai
Ajmer ko Khwaja ne maikhana bana dala
Unke dar e aqdas par jhukne ka ye sadka hai
Khwaja ne mera aaisa afsana bana dala
Ek khalk e khuda iske deedar ko aati hai
Khwaja ne mera aaisa kashana bana dala
Deewano ki mehfil me wo ja se huye jana
Phir chahane walo ne janana bana dala
Musrind ko ya khwaja kya jaam ki parwa ho
Jisne teri akho ko paimana bana dala
Sufi hai qalandar Hai Jogi Hai Deewana Hai
Khwaja ne bhi masto ko kya kya na bana dala
Karti hai inhe hoore har roz salam aakar
Ajmer ko Khwaja ne jannat sa bana dala
Nakamiye kismet ki choti si kahani thi
Tum ne ise Bedam afsana bana dala