Peshe haq muzda shafa’at ka sunaate jaayenge
Aap rote jaayenge hum ko hansaate jaayenge
Dil nikal jaane ki jaa hai aah kin aankhon se woh
Hum se pyaso ke liye dariya bahate jaayenge
Kusht-gaane garmiye mehshar ko woh jaane maseeh
Aaj daaman ki hawa de kar jilaate jaayenge
Gul khilega aaj ye unki naseeme faiz se
Khoon rote aayenge hum muskurate jaayenge
Haan chalo hasrat zado sunte hain woh din aaj hai
Thi khabar jis ki ki woh jalwa dikhaate jaayenge
Aaj eide aashiqaa(n) hai gar Khuda chahe ki woh
Abroo e paiwasta ka aalam dikhaate jaayenge
Kuch khabar bhi hai faqeero aaj woh din hai ki woh
Ne’mate khuld apne sadqe mein lutaate jaayenge
Khaak uftado bas un ke aane hi ki der hai
Khud woh gir kar sajda mein tum ko uthate jaayenge
Wus’ate di hain Khuda ne daamane Mehboob ko
Jurm khulte jaayenge aur woh chupaate jaayenge
Lo woh aaye muskurate hum aseeron ki taraf
Khirmane isyaa(n) par ab bijli giraate jaayenge
Aankh kholo ghamzado dekho woh giryaa(n) aaye hain
Lauhe dil se naqshe gham ko ab mitaate jaayenge
Sokhta jaano(n) pe woh purjoshe rehmat aaye hain
Aabe kausar se lagi dil ki bujhaate jaayenge
Aaftaab unka hi chamkega jab auro(n) ke charaag
Sar-sare joshe balaa se jhil-milaate jaayenge
Paaye koobaa(n) pul se guzrenge teri aawaaz par
Rabbe sallam ki sadaa par wajd laate jaayenge
Sarware dee(n) leeje apne na-tawaano ki khabar
Nafso shaitaa(n) Sayyida kab tak dabaate jaayenge
Hashr tak daalenge hum paidaaishe Maula ke dhoom
Misle faaras najd ke qil-ae giraate jaayenge
Khaak ho jaaye(n) adoo jal kar magar hum to Raza
Dam mein jab tak dam hai zikr unka sunaate jayenge