Momin woh hai jo unki izzat pe mare dil se
Ta’zeem bhi karta hai najdi to mare dil se
Wallah woh sun lenge fariyaad ko pahuchenge
Itna bhi to ho koi jo aah kare dil se
Bichdi hai gali kaisi bigdi hai bani kaisi
Pooch koi ye sadma armaan bhare dil se
Kya usko giraaye dahr jis par tu nazar rakkhe
Khaak us ko utaaye hashr jo tere gire dil se
Bahka hai kaha(n) majnoo(n) le daali bano(n) ki khaak
Dam bhar na kiya khaima laila ne pare dil se
Sone ko tapaye jab kuch meel ho ya kuch mail
Kya kaam jahannam ke dahre ko khare dil se
Aata hai dare waala yoon zauqe tawaaf aana
Dil jaan se sadqe ho sir gird fire dil se
Aye abre karam fariyaad fariyaad jala daala
Is sozishe gham ko hai zid mere hare dil se
Dariya hai chadha tera kitni hi udaayi khaak
Utrenge kaha(n) mujrim aye afw tere dil se
Kya jaane(n) yame gham mein dil doob gaya kaisa
Kis the ko gaye armaa(n) ab tak na tere dil se
Karta to hai yaad unki gaflat ko zara rook
Lillah Raza dil se haan dil se are dil se