Mustafa khairul wara ho
Sarware har do sara ho
Apne achchon ka tasadduq
Hum bado(n) ko bhi nibaho
Kiske phir ho kar rahe(n) hum
Gar tumhi(n) hum ka na chaho
Bad hanse(n) tum un ki khaatir
Raat bhar ro-o karaho
Bad kare(n) har dum burayi
Tum kaho unka bhala ho
Hum wohi nashusta roo hai
Tum wohi behre ata ho
Hum wohi shayaane rad hain
Tum wohi shaane sakha ho
Hum wohi besharmo bad hai
Tum wohi kaane hayaa ho
Hum woh nange jafaa hain
Tum wohi jaane wafaa ho
Hum wohi qaabil sazaa hai
Tum wohi rahme Khuda ho
Charkh badle dahr badle
Tum badalne se wara ho
Ab humein ho(n) sahw haashaa
Aisi bhoolo(n) se judaa ho
Umr bhar to yaad rakkha
Waqt par kya bhoolna ho
Waqte paidaaish na bhoole
Kaifa yansa kyun saza ho
Yeh bhi Maula arz kardu
Bhool agar jaao to kya ho
Woh jo ho tum par giraa(n) hai
Woh ho jo hargiz na chaaho
Woh ho jis ka naam lete
Dushmano(n) ka dil bura ho
Woh ho jis ke rad ki khaatir
Raat din waqfe dua ho
Mar mite(n) barbaad bande
Khana aabaad aag ka ho
Shaad ho iblees maloo(n)
Gham kise is qahr ka ho
Tum ko ho wallah tum ko
Jaano dil tum par fida ho
Tum ko gham se haq bachaye
Gham adoo ko jaa(n) gaza ho
Tum se gham ko kya ta’alluq
Be kaso ke ghamzida ho
Haq durooden tum pe bheje
Tum mudaam us ko saraaho
Woh ata de tum ata lo
Woh wohi chaahe jo chaaho
Kyun Raza mushkil se dariye
Jab Nabi mushkil kusha ho