Milke khaase kibriyaa ho
Maalike har maa siwa ho
Koi kya jaane ki kya ho
Aqle aalam se wara ho
Maalike har maa siwa ho
Koi kya jaane ki kya ho
Aqle aalam se wara ho
Kanze maktoome azal mein
Durre maknoone Khuda ho
Sab se awwal sab se aakhir
Ibtidaa ho intihaa ho
Durre maknoone Khuda ho
Sab se awwal sab se aakhir
Ibtidaa ho intihaa ho
The waseele sab Nabi tum
Asl maqsoode huda ho
Paak karne ko wuzoo the
Tum namaaze jaa(n) fizaa ho
Asl maqsoode huda ho
Paak karne ko wuzoo the
Tum namaaze jaa(n) fizaa ho
Sab bashaarat ki azaa(n) the
Tum azaa(n) ka mudda’a ho
Sab tumhari hi khabar the
Tum muakkhar mubtada ho
Tum azaa(n) ka mudda’a ho
Sab tumhari hi khabar the
Tum muakkhar mubtada ho
Qurbe Haq ki manzile(n) the
Tum safar ka muntaha ho
Qable zikr izmaar kya jab
Rutba saabiq aap ka ho
Tum safar ka muntaha ho
Qable zikr izmaar kya jab
Rutba saabiq aap ka ho
Toore Moosa charkhe Isaa
Kya musaawiyye danaa ho
Sab jihat ke daayre mein
Shash jihat se tum wara ho
Kya musaawiyye danaa ho
Sab jihat ke daayre mein
Shash jihat se tum wara ho
Sab maqaa(n) tum laa maqaa(n) mein
Tan hain tum jaane safa ho
Sab tumhare dar ke raste
Ek tum raahe Khuda ho
Tan hain tum jaane safa ho
Sab tumhare dar ke raste
Ek tum raahe Khuda ho
Sab tumhaare aage shaafe’
Tum huzoore kibriyaaho
Sab ki hai tum tak rasaayi
Baargaah tak tum rasaa ho
Tum huzoore kibriyaaho
Sab ki hai tum tak rasaayi
Baargaah tak tum rasaa ho
Woh kalas rauze ka chamka
Sar jhukaao kaj kulaaho
Woh dare daulat pe aaye
Jholiya failaao shaaho
Sar jhukaao kaj kulaaho
Woh dare daulat pe aaye
Jholiya failaao shaaho