Hajiyon aao Shehenshah ka rauza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukne Shaami se miti wahshate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dilaara dekho
Aabe Zamzam to piya khoob bujhayi pyase
Aao joode Shahe Kausar ka bhi dariya dekho
Zere Meezaab mile khoob karam ke cheente
Abre rehmat ka yaha zor barasna dekho
Dhoom dekhi hai dare Kaaba pe betaabon ki
Unke mushtaaqon mein hasrat ka tadapna dekho
Misle parwana fira karte hai jis shama ke gird
Apni us shama ko parwana yaha ka dekho
Khoob aankhon se lagaya hai gilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho
Wa(n) mutee’oo ka jigar khauf se paani paaya
Ya(n) siyahkaaron ka daaman pe machalna dekho
Awwalee(n) khanaye Haq ki to ziyaaye dekhi
Aakhri baite Nabi ka bhi tajalla dekho
Zeenate Kaaba mein tha laakh arooson ka banao
Jalwa farma yaha kaunain ka dulha dekho
Aimane toor ka tha ruqne yamaani mein farogh
Sholaye toor yaha(n) anjuman-aara dekho
Mehre maadar ka mazaa deti hai aagoshe Hateem
Jin pe maa baap fida ya(n) karam unka dekho
Arze haajat mein raha Kaaba kafeele injaah
Aao ab daad rasiye Shahe Taiba dekho
Dho chuka zulmate dil bosaye sange aswad
Khaak bosiye Madina ka bhi rutba dekho
Kar chuki rif’ate Kaaba pe nazar parwaazein
Topi ab thaam ke khaake dare waala dekho
Beniyaazi se waha kaanpti paayi taa-at
Joshe rehmat pe yaha(n) naaz gunah ka dekho
Jum-aye Makka tha eid ahle ibaadat ke liye
Mujrimon ! aao yaha eide do shamba dekho
Multazam se to gale lag ke nikaale armaa(n)
Adabo shauq ka ya(n) baaham ulajhna dekho
Khoob mas’aa mein ba ummeede safa daud liye
Rahe jaanaa(n) ki safa ka bhi tamasha dekho
Raqse bismil ki bahaare(n) to Mina mein dekhi
Dile khunna ba fashaa(n) ka bhi tadapna dekho
Gaur se sun to Raza Kaabe se aati hai sada
Meri aankhon se mere pyare ka Rauza dekho