Jab Masjid Nabvi ke Minaar Nazar Aaye
Allah ki Rehmat ke Assaar Nazar aaye
Manzar ho bayaan kasie alfaaz nahi miltay
Jis waqt Muhammad ka Darbaar nazar aaye
Allah ki Rehmat ke Assaar Nazar aaye
Manzar ho bayaan kasie alfaaz nahi miltay
Jis waqt Muhammad ka Darbaar nazar aaye
Bass yaad raha itna seenay say lagi jaali
Phir yaad nahi kia kia anwaar nazar aaye
Dukh dard ke maroon ko gham yaad nahi rehtay
Jab samnay ankhoon ke gham khawaar nazar aaye
Makkahay ki fizaoon main Taiba ki Hawaon mein
Hum ne to jider dekha Sarkaar nazar aaye
Chod aya Zahoori mai dil jaan Madinay main
Ab jeena yahan mujh ko dushwaar nazar aaye