Chamak tujh se paate hain sab paane wale
Mera dil bhi chamka de chamkane wale
Barasta nahi(n) dekh kar abre rehmat
Bado(n) par bhi barsa de barsaane wale
Madine ke khitte Khuda tujh ko rakkhe
Gareebon faqeeron ke thehraane wale
Tu zinda hai wallah tu zinda hai wallah
Mere chashme aalam se chup jaane wale
Main mujrim hoon aaqa Mujhe saath le lo
Ki raste mein hain jaa bajaa thane wale
Haram ki zamee(n) aur qadam rakh ke chalna
Are sar ka mauka hai O jaane wale
Chal uth jabha farsa ho saaqi ke dar par
Dare jood aye mere mastaane wale
Tera khaaye tere ghulamo(n) se uljhe
Hai munkir ajab khaane gurraane wale
Rahega yun hi unka charcha rahega
Pade khaak ho jaaye jal jaane wale
Ab aayi shafa’at ki saa’at ab aayi
Zara chain le mere ghabrane wale
Raza nafs dushman hai dum mein na aana
Kaha(n) tum ne dekhe hain chandrane wale