Boliye Sarkar jaisa kaun hai Koi nahi
Saiyyad e Abraar jaisa kaun hai Koi nahi
Roshni kaunain mai hai aap se
Aap ke anwaar jaisa kaun hai koi nahi
Noor se apne banaya ho jise
Rab ke us shahkaar jaisa kaun hai koi nahi
Pal me sadiyon ka safar tai kar liya
Aap ki raftaar jaisa kaun hai Koi nahi
Zakhm kha kar bhi dua di aap ne
Aap ke kirdaar jaisa kaun hai Koi nahi
Leke kandhon pe chale woh gaar e saur
Unke yaar e gaar jaisa kaun hai Koi nahi
Do hai pehlu mai to do damaad hai
Unke charon yaar jaisa kaun hai Koi nahi
Zauja e Hazrat ali Sher e khuda
Dukhtar e Sarkar jaisa kaun hai Koi nahi
Mominon ki Maa hai amma Ayesha
Bint e Yaar e gaar jaisa kaun hai Koi nahi
Aye Junaid e Qaasmi kaunain me
Mere us ghamkhwaar jaisa kaun hai Koi nahi