Talab ka munh to kis qaalib hai Ya Gaus
Magar tera karam kaamil hai Ya Gaus
Duhaayi Ya Muhiyuddee(n) duhaayi
Balaa islam par naazil hai Ya Gaus
Woh sangee(n) bid’ate woh teziye kufr
Ki sar par taig dil par sil hai Ya Gaus
‘Azooman qaatilan Indal- qitaali
Madad ko aa dame bismil hai Ya Gaus
Khudara nakhuda aa de sahaara
Hawa bigdi bhanwar haail hai Ya Gaus
Jilaa de di(n), jalaa de kufro ilhaad
Ki tu Muhyee hai tu qaatil hai Ya Gaus
Tera waqt aur pade yoon deen par waqt
Na tu aajiz na tu ghaafil hai Ya Gaus
Rahi haa(n) shaamate aa’maal yeh bhi
Jo tu chahe abhi zaail hai Ya Gaus
Ghayoora! apni ghairat ka tasadduq
Wohi kar jo tere qaabil hai Ya Gaus
Khudara marhame khaake qadam de
Jigar zakhmi hai dil ghaail hai Ya Gaus
Na dekhoon shakle mushkil tere aage
Koi mushkil si yeh mushkil hai Ya Gaus
Woh ghera rishtaye shirke khafi ne
Fansa zunnaar mein yeh dil hai Ya Gaus
Kiye tarsa wa gabr aqtaabo abdaal
Yeh mehez islaam ka saail hai Ya Gaus
Tu quwwat de main tanha kaam bisyaar
Badan kamzor dil kaahil hai Ya Gaus
Adoo bad-deen mazhab waale haasid
Tu hi tanha ka zore dil hai Ya Gaus
Hasad se inke seene paak kar de
Ki badtar diq se bhi yeh sil hai Ya Gaus
Ghizaaye diq yehi khoo(n) ustukhaa(n) gosht
Ye aatish deen ki aakil hai Ya Gaus
Diya mujh ko unhe(n) mahroom chchoda
Mera kya jurm haq faasil hai Ya Gaus
Khuda se le(n) ladaayi woh hai mu’tee
Nabi qaasim hai tu moosil hai Ya Gaus
Ataaye muqtadir Gaffaar ki hain
Abas bandon ke dil mein gil hai Ya Gaus
Tere baba ka phir tera karam hai
Yeh munh warna kisi qaabil hai Ya Gaus
Bharan waale tera jhaala to jhaala
Tera cheenta mera ghaasil hai Ya Gaus
Sana maqsood hai arze garaz kya
Garaz ka aap tu kaafil hai Ya Gaus
Raza ka khaatima bil khair hoga
Teri rehmat agar shaamil hai Ya Gaus