Keh rahi hai sham’a ki goya zabaane sokhta
Jis ko qurse mehr samjha hai jahaa(n) aye mun-eemo !
Un ke khwane jood se hai ek naane sokhta
Maahe man yeh nayyare mehshar ki garmi taa ba-ke
Aatashe isyaa(n) mein khud jalti hai jaane sokhta
Barqe angushte Nabi chamki thi is par ek baar
Aaj tak hai seenaye mah me nishane sokhta
Mehre aalam-taab jhukta hai paye tasleem roz
Peshe zarraate mazaare be dilaane sokhta
Koochaye gesuye jaanaa(n) se chale thandi naseem
Baalo par afshaa(n) hon ya Rab bulbulaane sokhta
Behre haq aye behre rehmat ik nigaahe lutf-baar
Taa ba-ke be aab tadpe(n) maahiyane sokhta
Roo kashe khurshide mehshar ho tumhare faiz se
Ik sharaare seenaye shaidaiyaane sokhta
Aatashe tar daamani ne dil kiye kya kya kabaab
Khizr ki jaa(n) ho jilaa do maahiyane sokhta
Aatashe gulhaaye Taiba par jalaane ke liye
Jaan ke taalib hain pyare bulbulane sokhta
Lutfe barqe jalwaye Me’raj laaya wajd mein
Sho’laye jawwaala saa(n) hai aasmaane sokhta
Aye Raza mazmoon soze dil ki rif’at ne kiya
Is zameene sokhta ko aasmaane sokhta.