Tumhare Zarre Ke Partau Naat Lyrics

Tumhare zarre ke partau sitaarhaye falak
Tumhare na’al ki naqis misal ziyaae falak

Agarche chaale sitaro se pad gaye laakhon
Magar tumhari talab me thake na paaye falak

Sare falak na kabhi taab aastaa(n) pahucha
Ki ibtidaaye bulandi thi intihaaye falak

Ye mitke unki ravish par hua khud unki ravish
Ki nakshe paaye zamee(n) par na saute paaye falak

Tumhari yaad me guzri thi jaagte shab bhar
Chali naseem, hue band deedhaaye falak

Na jaag utthe kahi(n) ahle baqi kachchi neend
Chala ye narm na nikli sadaye paaye falak

Ye unke jalwe ne ki(n) garmiya(n) shabe Asra
Ki jab se charkh mein hain nuqra-o tilaaye falak

Mere Gani ne jawahir se bhar diya daaman
Gaya jo kaasaye mah le ke shab gadaaye falak

Raha jo qaane-a yak naane sokhta din bhar
Mili Huzoor se kaane guhar jazaaye falak

Tajammule shabe Asra abhi simat na chuka
Ki jab se waise hi kotal hain sabzhaaye falak

Khitabe haq bhi hai dar baabe khalq min ajalik
Agar idhar se dame hamd hai sadaaye falak

Ye ahle bait ki chakki se chaal seekhi hai
Rawaa(n) hai be madade dast aasitaaye falak

Raza ye naate nabi ne bulandiya(n) bakhshi
Laqab “zameene falak” ka hua “samaaye falak”