Rukh din hai ya mehre samaa ye bhi nahi woh bhi nahi
Shab zulf ya mushke khuta ye bhi nahi woh bhi nahi
Mumkin mein ye qudrat kahan waajib mein ‘abdiyyat kahan
Hairaa(n) hoon ye bhi hai khata ye bhi nahi woh bhi nahi
Haq yeh ki hain abde ilaah aur aalame imkaa(n) ke shah
Barzakh hain woh sirre khuda ye bhi nahi woh bhi nahi
Bulbul ne gul unko kaha kumri ne sarve jaa(n) fiza
Hairat ne jhunjla kar kaha ye bhi nahi woh bhi nahi
Khursheed tha kis zor par kya badh ke chamka tha qamar
Be parda jab woh rukh hua ye bhi nahi woh bhi nahi
Dar tha ki isyaa ki saza ab hogi ya roze jaza
Di unki rehmat ne sada ye bhi nahi woh bhi nahi
Koi hai naaza zohad par ya husne tauba hai sipar
Yaan hai faqat teri ata ye bhi nahi woh bhi nahi
Din lahw me khona tujhe shab subha tak sona tujhe
Sharme Nabi khaufe Khuda ye bhi nahi woh bhi nahi
Rizqe Khuda khaya kiya farmaane haq taala kiya
Shukre karam tarse sazaa ye bhi nahi woh bhi nahi
Hai bulbule rangi Raza ya tootiye nagma saraa
Haq ye ki waasif hai tera ye bhi nahi woh bhi nahi