Rashe Qamar Hu Range Rukhe Aaftab Hu Naat Lyrics

Rashke qamar hu range rukhe aaftaab hu
Zarra tera jo aye shahe gardoo(n) janaab hu

Durre najaf hoon gauhare paake khushaab hu
Ya’ni turaabe reh guzare bu turaab hu

Gar aankh hoon to abr ki chashme puraab hu
Dil hoon to barq ka dile pur iztiraab hu

Khoonee(n) jigar hoon taaire be aasiyaa(n) shaha
Range paridaye rukhe gul ka jawaab hu

Be aslo be sabaat hoon behre karam madad
Parwardaye kanare saraabo habaab hu

Ibrat faza hai sharme gunah se mera sukoot
Goya labe khamoshe lahad ka jawaab hu

Kyun naala soz le karoon kyun khoone dil piyu
Seekhe kabaab hoon na main jaame sharaab hu

Dil basta be karaar, jigar chaak, ashkbaar
Guncha hoon gul hoon barqe tapaa(n) hoon sahaab hu

Da’wa hai sab se teri shafa’at pe beshtar
Daftar me aasiyon ke shaha intikhaab hu

Maula duhayi nazro(n) se gir kar jala ghulaam
Ashke muzah rasidaye chashme kabaab hu

Mit jaaye ye khudi to woh jalwa kaha(n) nahi(n)
Darda me aap apni nazar ka hijaab hu

Sadqe hoon us pe naar se dega jo makhlasee
Bulbul nahi(n) ki aatashe gul par kabaab hu

Qaalib tahee kiye hama aagosh hai hilaal
Aye shah sawaare Taiba! main teri rikaab hu

Kya kya hain tujh se naaz tere kasr ko ke main
Kaa’be ki jaan, arshe bari ka jawaab hu

Shaha bujhe sakar mere ashko(n) se taa na main
Aabe abas chakidaye chashme kabaab hu

Main to kaha(n) hi chahu ke banda hoon shaah ka
Par lutf jab hai keh de(n) agar woh janaab ‘hu’

Hasrat me khaak bosiye Taiba ki aye Raza
Tapka jo chashme mehar se woh khoone naab hu