Poochte kya ho arsh par yoon gaye Mustafa, ke yoon
Kaif ke par jahaan jale, koi bataaye kya ke yoon
Kaif ke par jahaan jale, koi bataaye kya ke yoon
Qasr danaa kay raaz mein aqlein to gum hain jaisi hain
Ruh-e-Quds se poochiye tum ne bhi kuch suna ke yoon
Ruh-e-Quds se poochiye tum ne bhi kuch suna ke yoon
Main ne kaha ke jalwa-e-asal mein kis tarah gumein
Subh ne noor-e-mehar mein mit ke dikha diya ke yoon
Subh ne noor-e-mehar mein mit ke dikha diya ke yoon
Haaye re zawq-e-be-khudi dil jo sanbhalne saa laga
Chhak ke mehak mein phool kii girne lagee saba ke yoon
Chhak ke mehak mein phool kii girne lagee saba ke yoon
Dil ko de noor-o-daagh-e-ishq phir main fida do neem kar
Maana hai sun ke shaqqe-maah aankhon se ab dikha ke yoon
Maana hai sun ke shaqqe-maah aankhon se ab dikha ke yoon
Dil ko hai fikr kis tarah murde jilaate hain Huzoor
Aye main fidaa, laga kar ek thokar ise bataa ke yoon
Aye main fidaa, laga kar ek thokar ise bataa ke yoon
Baagh mein shukr-e-vasl tha, hijr mein haaye haaye gul
Kaam hai unke zikr se, khair woh yoon huwa ke yoon
Kaam hai unke zikr se, khair woh yoon huwa ke yoon
Jo kehe she’ro paas -e- Shara’ donon ka husn kyun kar aaye
Laa ussay pesh-e-jalwaa-e-zamzama-e-Raza ke yoon