Mujrim Huwa Hai Haazir Jaali Ke Saamne
Nazre Karam Ho Naazir Jaali Ke Saamne
Jurm o Gunaah Mere Had Se Siwaa To Kya Gham
Bulwaa Liyaa He Aakhir Jaali Ke Saamne
Hasnayn Ke Tasadduq Qismat Chamak Gayi Ab
Mangtey Huwe Jo Haazir Jaali Ke Saamne
Ban Jaaye Uski Bigri Jis Par Nazar Hey Daali
Iss Waaste Hoon Haazir Jaali Ke Saamne
Kyun Kar Phiroon Mai Dar Dar Jab Hoon Tera Gadaagar
Mangtaa Hoon Aagaya Phir Jaali Ke Saamne
Maqbool Hogi Beshak Har Ek Duaein Teri
Maangi He Jo Bhi ShakirJaali Ke Saamne