Humare hai Rehbar HUSSAIN Ibne Haidar
Sadaqat ke paikar HUSSAIN Ibne Haidar
Sadaqat ke paikar HUSSAIN Ibne Haidar
Kiya jiski khatir taveel apna sajda
Wo Sibte Payambar HUSSAIN Ibne Haidar
Wo Sibte Payambar HUSSAIN Ibne Haidar
Lahu se kiya jisne islam zinda
Ali ka wo dilbar HUSSAIN Ibne Haidar
Ali ka wo dilbar HUSSAIN Ibne Haidar
Rahega hame yaad har dum tumhari
Shahadat ka manzar HUSSAIN Ibne Haidar
Shahadat ka manzar HUSSAIN Ibne Haidar
Ke barso se tum oodh kar so rahe ho
Tahammul ki chadar HUSSAIN Ibne Haidar
Tahammul ki chadar HUSSAIN Ibne Haidar
Jalaya hai maine bhi shamme muhabbat
Mere dil ke andar HUSSAIN Ibne Haidar
Mere dil ke andar HUSSAIN Ibne Haidar
Kiya aapka zikr maine to mera
Hua dil munawwar HUSSAIN Ibne Haidar
Hua dil munawwar HUSSAIN Ibne Haidar
Tumhare hi dum se fiza lag rahi hai
Mu’attar Mu’attar HUSSAIN Ibne Haidar
Mu’attar Mu’attar HUSSAIN Ibne Haidar
Mujhe bhi ata kardo nisbat tumhari
Banalo sag e dar HUSSAIN Ibne Haidar
Banalo sag e dar HUSSAIN Ibne Haidar
Tumhare hi sadqe me mehshar me humko
Mile jaam e Kausar HUSSAIN Ibne Haidar
Mile jaam e Kausar HUSSAIN Ibne Haidar
Tumhari hi kashti panagaahe SHAKIR
Tumhi mere yaawar HUSSAIN Ibne Haidar.
Tumhi mere yaawar HUSSAIN Ibne Haidar.