Banda qaadir ka bhi qaadir bhi hai Abdul qaadir
Sirre baatin bhi hai zaahir bhi hai Abdul qaadir
Muftiye shar-a bhi hai kaaziye millat bhi hai
Ilme asraar se maahir bhi hai Abdul qaadir
Mambaye faiz bhi hai majmaye afzaal bhi
Mehre irfaa(n) ka munawwar bhi hai Abdul qaadir
Qutbe Abdaal bhi hai mahware irshad bhi
Markaze daairaye sir bhi hai Abdul qaadir
Silke irfaa(n) ki ziya hai yehi durre mukhtar
Fakhre ashbaaho nazaair bhi hai Abdul qaadir
Is ke farmaan hain sab sharehe huqme shaare’
Mazhare naahi wa aamir bhi hai Abdul qaadir
Zee tasarruf bhi hai maazoon bhi mukhtar bhi hai
Kaare aalam ka mudabbir bhi hai Abdul qaadir
Rashke bulbul hai Raza laalaye sad daag bhi hai
Aapka waasifo zaakir bhi hai Abdul qaadir