Banda milne ko kareebe hazrate qaadir gaya
Lam-aye baatin mein gumne jalwaye zaahir gaya

Teri marzi pagaya suraj fira ulte qadam
Teri ungli uth gayi mah ka kaleja chir gaya

Badh chali teri ziya andher aalam se ghata
Khul gaya gesu tera rehmat ka baadal ghir gaya

Bandh gayi teri hawa saawah me khaak udhne lagi
Badh chali teri ziya aatash pe paani fir gaya

Teri rehmat se safiyyullah ka beda paar tha
Tere sadqe se najiyyullah ka bajra tir gaya

Teri aamad thi ki baitullah mujre ko jhuka
Teri haibat thi ki har but thar thara kar gir gaya

Momin unka kya hua Allah uska ho gaya
Kaafir unse kya fira Allah hi se fir gaya

Woh ki us dar ka hua khalqe khuda us ki huyi
Woh ki us dar se fira Allah usse fir gaya

Mujh ko deewana batate ho main woh hoshiyaar hoon
Paao jab taufe haram mein thak gaye sar fir gaya

Rehmatullil aalamee(n) aafat mein hoon kaisi karu(n)
Mere Maula main to is dil se bala mein ghir gaya

Main tere haathon ke sadqe kaisi kankariya(n) thi woh
Jinse itne kaafiro ka daf-atan muh fir gaya

Kyun janabe Bu Huraira tha woh kaisa jaame sheer
Jisse sattar sahibo(n) ka doodh se muh fir gaya

Waasta pyare ka aisa ho ki jo sunni mare
Yoo(n) na farmaye tere shahid ki woh faajir gaya

Arsh par dhoome mache(n) woh momine saaleh mila
Farsh se maatam uthe woh tayyibo taahir gaya

Allah Allah ye uluwwe khaas abdiyat raza
Banda milne ko qareebe hazrate qaadir gaya

Thokare khate firoge unke dar par pad raho
Qafila to aye Raza awwal gaya aakhir gaya