Aarize Shamso Qamar Se Naat Lyrics

Aarize shamso qamar se bhi hain anwar ediyaa(n)
Arsh ki aankhon ke taare hain woh khushtar ediyaa(n)

Jaa bajaa partau figan hain aasmaa(n) par ediyaa(n)
Din ko hain khursheed shab ko maaho akhtar ediyaa(n)

Najme gardoo(n) to nazar aate hain chote aur woh paau
Arsh par phir kyun na ho(n) mahsoos laagar ediyaa(n)

Dab ke zere paa na gunjaaish samane ko rahi
Ban gaya jalwa kafe paa ka ubhar ka ediyaa(n)

Unka mangta paau se thukra de woh duniya ka taj
Jis ki khatir mar gaye mun’am ragad kar ediyaa(n)

Do qamar, do panjaye khur, do sitaare, dus hilaal
Unke talwe, panje, nakhun, paaye athar ediyaa(n)

Haaye us patthar se us seene ki qismat fodiye
Be takalluf jis ke dil mein yu(n) kare(n) ghar ediyaa(n)

Taaje roohul quds ke moti jise sajda kare(n)
Rakhti hain wallah woh paakeeza gohar ediyaa(n)

Ek thokar me Uhud ka zalzala jaata raha
Rakhti hain kitna waqaar Allahu akbar ediyaa(n)

Charkh par chadte hi chandi mein siyahi aa gayi
Kar chuki hai  badr ko taksaal bahar ediyaa(n)

Aye Raza toofane mehshar ke talatum se na dar
Shaad ho! hain kashtiye ummat ko langar ediyaa(n)