jaane muraade ab kidhar haaye tera makaan hai
Bazme sanaaye zulf mein meri aroose fikr ko
saari bahaare hasht khuld chota sa itrdaan hai
Arsh pe ja ke murge aql thak ke gira gash aa gaya
aur abhi manzilo(n) pare pehla hi aastaan hai
Arsh pe taaza chedchaad farsh mein turfa dhoomdhaam
kaan jidhar lagaaiye teri hi daastaan hai
Ik tere rukh ki raushni chain hai do jahaan ki
ins ka uns usi se hai jaan ki woh hi jaan hai
Woh jo na the to kuch na tha woh jo na ho(n) to kuch na ho
jaan hain woh jahaan ki jaan hai to jahaan hai
God mein aalame shabaab haale shabaab kuch na pooch
gulbune baaghe noor ki aur hi kuch uthaan hai
Tujh sa siyaahkaar kaun un sa Shafee’ hai kahaa(n)
phir woh tujhi ko bhool jaaye(n) dil ye tera gumaan hai
Peshe nazar woh nau bahaar sajde ko dil hai be karaar
rokiye sar ko rokiye haa(n) yahi imtihaan hai
Shaane Khuda na saath de un ke khiraam ka woh baaz
sidra se taa zamee(n) jise narm si ik udhaan hai
Baare jalaal utha liya garche kaleja shaq huwa
Yoon to yeh maahe sabza rang nazro(n) mein dhaan paan hai
Khauf na rakh Raza zara tu to hai Abde Mustafa
tere liye amaan hai tere liye amaan hai