Humare Aaqa humare Maula
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Humare Aaqa humare Maula
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Humare Aaqa humare Maula
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Zamaane bhar ne zamaane bhar me
Bohot tajassus kiya hai lekin
Mila na koi Imam tumsa
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Na kyun kare naaz Ahle Sunnat
Ke tum se chamka naseebe Ummat
Siraaje ummat mila hai tumsa
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Hua “Ulill Amr” se ye saabit
Ke teri taa’at zaroori wajib
Khuda ne unko kiya humara
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Tumhare aage tamaam aalam
Na kyun kare zaanu-e-adab kham
Ke peshwayaane Dee(n) ne maana
Imam-e-Azam Abu Hanifa
Kisi ki aankhon ka tu hai taara
Kisi ke dil ka banaa sahaara
Magar kisi ke jigar me aaraa
Imam-e-Azam Abu Hanifa