Noor ka Sagar Noor ki meh hai
Noor ka chalka jam Madina tujhe salaam
Sahile rehmat ka Wo sahil kaise ho nakam
Madina tujhe salaam
Roze qayamat ka wo suraj
Hum ko kya jhulsayega
Khud hi dooba jayega
Zulf e muambar ke saaye me
Hum karenge aaram
Madina tujhe salaam
Zulfe muambar ki chao me
Raat sawarti rehti hai
Subha nikalti rehti hai
Roo e nabi ke sadqe me hai
Roshan subha sham
Madina tujhe salaam
Naam Nabi ka hum lete hai
Haasid kya jal jaate hai
Maathe par bal aate hai
Dil ki takhti par likhte hai
Hum apne nabi ka naam
Madina tujhe salaam
Shehre Nabi ka har zarra
Suraj ko aankh dikhata hai
Kismat pe ittrata hai
Pyaare Nabi ke sadqe me
Hai tujh ko haseen inaam
Madina tujhe salaam
Dil ki rihal par rakh kar padhna
Tum aayaat e quraani
Hai yeh tareeka imaani
Hogi namaz e ishq mukammal
Unko karlo imam
Madina tujhe salaam
Sirat bhi quraani hai
Aur surat bhi quraani hai
Kya chehra noorani hai
Ummat ke taqdeer me likh di
Rab ne khuld tamaam
Madina tujhe salaam
Ishq e Nabi ki ek chingaari
Khilman dil me roshan hai
Dil ka sehra gulshan hai
Bhej durood e pak ka tohfa
Momin subho shaam
Madina tujhe salaam