Noore mujassam nayyare Aazam
Noor ka ik darpan tumhi ho jaane chaman
Noor ka jharna husn ka dhaara
Jalwo ka chilman tumhi ho jaane chaman
Chand ka seena shak hota hai
Sooraj dauda aata hai
Qadmon pe jhuk jaata hai
Chand sitare sooraj tere naakhun ki katran
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman
Tere paseene ki khusboo se
Bachche khushbudaar huwe
Wo rashke gulzaar huwe
Tere paseene ki bu paakar kehti hai dulhan
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman
Tere paaye naaz ke niche
Ek nahi sau jannat hai
Ye to Rab ki hikmat hai
Tere hi qadmon pe hai nichavar apna tan man dhan
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman
Imaano irfaa ki khushbu
Baage Raza se aati hai
Ye faize barkaati hai
Taiba ki saugate baate barkaati aangan
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman
Rang gulabi dekha sabne
Shehre karam ke kharo ka
Kya kehna nazaaro ka
Kehti hai ye juhi champa nargis aur sosang
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman
Saanso se khushboo nikle aur rooh muattar ho jaaye
Yaade Nabi me kho jaaye
Wird duroode paak kare jab dil ki har dhadkan
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman
Apne Asad pe chashme inaayat
Pyare Aaqa farma do
Meri qismat chamka do
Apne karam ke phool se Aaqa bhar do mera daaman
Tumhi ho jaane chaman Tumhi ho jaane chaman