Bahar e Jaan fiza tum ho, Naseem e gulsitaan tum ho
Bahare baagh e rizwan tum se hai zaibe jinaa tum ho.
Khuda ki saltanat ka do jahan mein kaun dulha hai
tum hi tum ho, tum hi tum ho yahan tum ho wahan tum ho.
Haqeeqat se tumhari juzz khuda aur kaun waqif hai
kahe to kiya kahe koi chuni tum ho chuna tum ho.
Kuja hum khaak uftada kahan tum aye Shahe waala
agar misle zameen hum hain to misle asmaan tum ho.
Ye kya maine kaha misle sama tum ho ma’azallah
munazza misl se bartar ze har wehmo gumaan tum ho
Main bhoola aapki rif’at se nisbat hi humein kya hai
woh kehne bhar ki nisbat thi kahan hum hain kahan tum ho.
Humein umeed hai roz e qayamat unki rehmat say
ke farmaaye idhar aao na mayoos az jina tum ho.
Sitamkaaro siyahkaro khatakaro jafaakaro
humare daaman e rehmat mein aajao kahan tum ho.
Tumhare hote saare dardo dukh kise kahoon pyare
shafiye aasiyan tum ho wakeele mujriman tum ho.
Riyazat ke yahi din hain budhape mein kahan himmat
jo kuch karna hai abhi karlo abhi Noori jawaan tum ho.
Faqat nisbat ka, jaise hoon haqeeqi Noori ho jaaoon
mujhe jo dekhe keh uthe miyan Noori miyan tum ho