Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam (Complete Lyrics)

Mustafa Jaane Rehmat pe laakhon salaam
Shame bazme hidayat pe laakhon salaam

Mehre charkhe Nubuwwat pe raushan durood
Gule baaghe Risaalat pe laakhon salaam

Shehre yaare iram Taajdaare haram
Nau bahaare shafa’at pe laakhon salaam

Shabe Asra ke Dulha pe daayim durood
Naushaye bazme jannat pe laakhon salaam

Arsh ki zaibo zeenat pe arshi durood
Farsh ki teebo nuzhat pe laakhon salaam

Noore aine latafat pe altaf durood
Zaibo zaine nazafat pe laakhon salaam

Sarve naaze qidam magze raaze hikam 
Yakka taaje fazeelat pe laakhon salaam

Nuqtaye sirre wahdat pe yakta durood
Markaze daure kasrat pe laakhon salaam

Saahibe raj’ate shamso shaqkul qamar
Naaibe daste qudrat pe laakhon salaam

Jiske zere liwa Aadamo man siwa
Us sazaye siyadat pe laakhon salaam

Arsh ta farsh hai jiske zere nagee(n)
Uski qaahir riyasat pe laakhon salaam

Asle har boodo behbood takhme wujood
Qasime kanze ne’mat pe laakhon salaam

Fathe baabe Nubuwwat pe behad durood
Khatme daure risalat pe laakhon salaam

Sharqe anwaare qudrat pe noorie durood
Fatqe azhaare qurbat pe laakhon salaam

Be saheemo qaseemo adeelo maseel
Jauhare farde izzat pe laakhon salaam

Sirre ghaibe hidaayat pe ghaibi durood
Itre jaibe nihaayat pe laakhon salaam

Maahe laahoote khalwat pe laalhon durood
Shaahe naasoote jalwat pe laakhon salaam

Kanze har bekaso benawa par durood
Hirze har rafta taaqat pe laakhon salaam

Partawe isme zaate ahad ahad par durood
Nuskhaye jaami-iyyat pe laakhon salaam

Matlaye har sa’aadat pe as’ad durood
Maqtaye har siyaadat pe laakhon salaam

Khalq ke daad-ras sab ke faryaad- ras
Kahfe roze museebat pe laakhon salaam

Mujhse bekas ki daulat pe laakhon durood
Mujhse bebas ki quwwat pe laakhon salaam

Shame bazme danahoo me gum kun ana
Sharhe matne huwiyyat pe laakhon salaam

Intihaaye duyi ibtidaaye yaki
Jam’ay tafreeqo kasrat pe laakhon salaam

Kasrate baa’de qillat pe aksar durood
Izzate baa’de zillat pe laakhon salaam

Rabbe aa’la ki ne’mat pe aa’la durood
Haq ta’ala ki minnat pe laakhon salaam

Hum gareebo ke Aaqa pe behad durood
Hum faqeero ki sarwat pe laakhon salaam

Farhate jaane momin pe behad durood
Gaize qalbe jalaalat pe laakhon salaam

Sababe har sabab muntahaye talab
Illate jumla illat pe laakhon salaam

Masdare mazhariyyat pe azhar durood
Mazhare masdariyyat pe laakhon salaam

Jiske jalwe se murjhaayi kaliyan khile
Us gule paak mambat pe laakhon salaam

Qadde be saaya ke saaya e marhamat
Zille mamdoode raafat pe laakhon salaam

Taairaane qudus jis ki hain kumriyaan
Us sahi sarve qaamat pe laakhon salaam

Wasf jiska hai aainaye haq numa
Us khuda saaz tal’at pe laakhon salaam

Jiske aage sare sarwaran kham rahen
Us sare taaje rif’at pe laakhon salaam

Woh karam ki ghata gesu e mushq- sa
Lakkaye abre raafat pe laakhon salaam

Lailatul qadr me matla-il fajr haq
Maang ki istiqaamat pe laakhon salaam

Lakht lakhte dile har jigar chaak se
Shaana karne ki haalat pe laakhon salaam

Dooro nazdeek ke sunne waale woh kaan
Kaane laa’le karaamat pe laakhon salaam

Chashmaye mehar mein mauje noore jalaal
Us rage haashimiyyat pe laakhon salaam

Jis ke maathe shafa’at ka sehra raha
Us jabeene sa’aadat pe laakhon salaam

Jinke sajde ko mehraabe kaaba jhuki
Un bhawon ki latafat pe laakhon salaam

Unki aankhon pe woh saaya afgan muzah
Jullaye qasre rehmat pe laakhon salaam

Ashk baariye muzgaa(n) pe barse durood
Silke durre shafa’at pe laakhon salaam

Maaniye qad-ra-aa maqsade ma-ta-ga
Nargise baaghe qudrat pe laakhon salaam

Jis taraf uth gayi dam mein dam aa gaya
Is nigaahe inaayat pe laakhon salaam

Neechee aankhon ki sharmo haya par durood
Unchi beenee ki rif’at pe laakhon salaam

Jinke aage charage qamar jhil milaye
Un izaaro ki tal’at pe laakhon salaam

Unke khud ki suhoolat pe behad durood
Unke qad ki rashaaqat pe laakhon salaam

Jis se tareek dil jagmagane lage
Us chamak waali rangat pe laakhon salaam

Chand se muh pe taabaa(n) darakhshaa(n) durood
Namak-aagee(n) sabahat pe laakhon salaam

Shabname baaghe Haq ya’ni rukh ka araq
Unki sachchi baraaqat pe laakhon salaam

Khat ki girde dahan woh dilaara faban
Sabzaye nahre rehmat pe laakhon salaam

Reeshe khush mo’tadil marhame raishe dil
Haalaye maahe nudrat pe laakhon salaam

Patli patli gule quds ki pattiyaan
Un labo ki nazaakat pe laakhon salaam

Woh dahan jiski har baat wahiye khuda
Chashmaye ilmo hikmat pe laakhon salaam

Jiske paani se shadab jaano jinaa(n)
Us dahan ki taraawat pe laakhon salaam

Jis se khaari koonye sheeraye jaa(n) bane
Us julaale halawat pe laakhon salaam

Woh zabaan jis ko sab kun ki kunji kahe
Us ki naafiz hukumat pe laakhon salaam

Uski pyari fasahat pe behad durood
Uski dilkash balaagat pe laakhon salaam

Uski baaton ki lazzat pe laakhon durood
Uske khutbe ki haibat pe laakhon salaam

Woh dua jis ka joban bahare qabool
Us naseeme ijaabat pe laakhon salaam

Jinke guchche se lachche jhade noor ke
Un sitaaron ki nuzhat pe laakhon salaam

Jiski taskee(n) se rote huye has pade(n)
Us tabassum ki aadat pe laakhon salaam

Jis mein nehre hai sheero shakar ki rawaa(n)
Us gale ki nazaarat pe laakhon salaam

Dosh bar dosh hai jinse shaane sharaf
Aise shaano ki shaukat pe laakhon salaam

Hajare Aswade kaabaye jaano dil
Yaa’ni mohre nubuwwat pe laakhon salaam

Rooye aainaye ilm pushte huzoor
Pushtiye qasre millat pe laakhon salaam

Haath jis samt uththa gani kar diya
Mauje behre samaahat pe laakhon salaam

Jisko baare do aalam ki parwa nahi
Aise baazu ki quwwat pe laakhon salaam

Kaaba e deen o imaa(n) ke dono sutoo(n)
Saaidaine risalat pe laakhon salaam

Jis ke har khat me hain mauje noore karam
Us kafe behre himmat pe laakhon salaam

Noor ke chashme lehraaye(n) dariyaa bahe(n)
Ungliyon ki karaamat pe laakhon salaam

Eid e mushkil kushaayi ke chamke hilaal
Naakhoono ki basharat pe laakhon salaam

Rafàye zikre jalaalat pe arfaà durood
Sharhe sadre sadarat pe laakhon salaam

Dil samajh se wara hai magar yun kahoon
Gunchaye raaze wahdat pe laakhon salaam

Kul jahaa(n) milk aur jau ki roti gizaa
Us shikam ki qanaa’at pe laakhon salaam

Jo ki azme shafa’at pe khinch kar bandhi
Us kamar ki himayat pe laakhon salaam

Ambiya teh kare zaanoo unke huzoor
Zaanuon ki wajahat pe laakhon salaam

Saaqe asle qadam shaakhe nakhle karam
Shame raahe isaabat pe laakhon salaam

Khaayi qur’aa(n) ne khake guzar ki qasam
Us kafe paa ki hurmat pe laakhon salaam

Jis suhaani ghadi chamka taiba ka chaand
Us dil afroz saa’at pe laakhon salaam

Pehle sajde pe roze azal se durood
Yaadgaariye ummat pe laakhon salaam

Zar’e shaadabo har zar’e pur-sheer se
Barakaate razaa’at pe laakhon salaam

Bhaaiyon ke liye tarke pistaa(n) kare(n)
Doodh peeto(n) ki nisfat pe laakhon salaam

Mehde waala ki qismat pe sad-ha durood
Burje Maahe risaalat pe laakhon salaam

Allah Allah woh bachpane ki faban
Us khuda bhaati soorat pe laakhon salaam

Uthte booton ki nashwo numaa par durood
Khilte guncho(n) ki nakhat pe laakhon salaam

Fazle paidaaishi par humesha durood
Khelne se karahat pe laakhon salaam

Ae’tilaaye jibillat pe aali durood
Ae’tidaale taviyyat pe laakhon salaam

Be banawat ada par hazaaro durood
Be takalluf malaahat pe laakhon salaam

Bheene bheene mehak par mehakti durood
Pyari pyari nafasat pe laakhon salaam

Meethi meethi ibaarat pe sheeri durood
Achchi achchi isharat pe laakhon salaam

Seedhi seedhi ravish par karodon durood
Saadi saadi tabeeat pe laakhon salaam

Roze garmo shabe tee-ra o taar mein
Koho sehra ki khalwat pe laakhon salaam

Jis ke ghere mein hain ambiyaaon malak
Us jahangeer bi’sat pe laakhon salaam

Andhe sheeshe jhalajhal damakne lage
Jalwa reziye da’wat pe laakhon salaam

Lutfe bedaariye shab pe behad durood
Aalame khwabe raahat pe laakhon salaam

Khandaye subhe ishrat pe noorie durood
Girya e abre rehmat pe laakhon salaam

Narmiye khooye leenat pe daaim durood
Garmiye shaane satwat pe laakhon salaam

Jiske aage khinchi gardane(n) jhuk gayi
Us khuda daad shaukat pe laakhon salaam

Kisko dekha ye Moosa se pooche koi
Aankh wale ki himmat pe laakhon salaam

Girde(n) mah daste anjum mein rakhsha(n) hilaal
Badr ki dafaye zulmat pe laakhon salaam

Shore takbeer se thar tharati zamee(n)
Jumbishe jaishe nusrat pe laakhon salaam

Na’rahaye dileraa(n) se ban goonjte
Gurrishe kose jur-at pe laakhon salaam

Woh chaqachaq khanjar se aati sada
Mustafa teri saulat pe laakhon salaam

Unke aage woh Hamza ki jaa(n) baaziyaa(n)
Shere gurraane satwat pe laakhon salaam

Al garaz unke har ek mu pe laakhon durood
Unki har khoo wa khaslat pe laakhon salaam

Unke har naamo nisbat pe naami durood
Unke har waqt o haalat pe laakhon salaam

Unke Maula ki un par karoodon durood
Unke azhaabo itrat pe laakhon salaam

Paarhaaye suhuf gunch-haaye qudus
Ahle baite Nubuwwat pe laakhon salaam

Aabe tatheer se jis mein paudhe jame
Us riyaaze najaabat pe laakhon salaam

Khoone Khairur-rusul se hai jin ka khameer
Unki be laus teenat pe laakhon salaam

Us batoole jigar paaraye Mustafa
Hajla aaraaye iffat pe laakhon salaam

Jiska aanchal na dekha maho mehar ne
Us ridaaye nazaahat pe laakhon salaam

Sayyidah zaahira Tayyiba Taahira
Jaane Ahmed ki raahat pe laakhon salaam

Hasane mujtaba Sayyidul askhiyaa
Raakibe doshe izzat pe laakhon salaam

Auje mehre huda mauje behre nadaa
Rooh roohe sakhawat pe laakhon salaam

Shehad khware luaabe zabaane Nabi
Chaashni geere ismat pe laakhon salaam

Us Shaheede balaa shaahe gulgoo(n) qabaa
Bekase dashte gurbat pe laakhon salaam

Durre durje najaf mehre burje sharaf
Range ruye shahadat pe laakhon salaam

Ahle islaam ki maa-daraane shafeeq
Baanuwaane tahaarat pe laakhon salaam

Jilau giyyaane baitush-sharaf par durood
Parwagiyyane iffat pe laakhon salaam

Siyyamaa pehli maa kahfe amno amaa(n)
Haq guzaare rafaqat pe laakhon salaam

Arsh se jis pe tasleem naazil hui
Us saraaye salaamat pe laakhon salaam

Manzilun min qasabb laa nasabb laa sakhabb
Aise kushk ki zeenat pe laakhon salaam

Binte Siddique aaraame jaane Nabi
Us hareeme bara’at pe laakhon salaam

Yaa’ni hai suraye noor jin ki gawah
Unki pur noor soorat pe laakhon salaam

Jin me roohul qudus be ijaazat na jaaye
Un suraadiq ki ismat pe laakhon salaam

Shamaye taabaane kaashanaye ijtihaad
Muftiye chaar millat pe laakhon salaam

Jaa(n) nisaarane badro uhad par durood
Haq guzarane bai-at pe laakhon salaam

Woh daso jinko jannat ka muzda mila
Us mubarak jama’at pe laakhon salaam

Khaas us saabiqe saire qurbe khuda
Au-hade kaamiliyyat pe laakhon salaam

Saaya e Mustafa maaya e istafa
Izzo naaze khilafat pe laakhon salaam

Yaa’ni us Afzalul khalq ba’darrusul
Saani yasnaine hijrat pe laakhon salaam

Asdaqussadiqeen Sayyidul Muttaqeen
Chashmo goshe vizaarat pe laakhon salaam

Woh Umar jis ke aa’da pe shaida sakar
Us Khuda dost Hazrat pe laakhon salaam

Faariqe haqq o baatil Imaamul Huda
Taige masloole shiddat pe laakhon salaam

Tarjumaane Nabi hum zabaane Nabi
Jaane Shaane Adalat pe laakhon salaam

Zaahide masjide Ahmadi par durood
Daulate jaishe usrat pe laakhon salaam

Durre mansoor qur’aa(n) ki silke bahi
Zauje do noor iffat pe laakhon salaam

Yaa’ni Usmaan sahib qameese huda
Hulla poshe shahadat pe laakhon salaam

Murtuza Shere Haq Ashja-ul-Ashjaee(n)
Saaqiye sheero sharbat pe laakhon salaam

Asle nasle safa wajhe wasle khuda
Baabe fasle wilaayat pe laakhon salaam

Awwalee(n) daafe’ae ahle rafzo khurooj
Chaarumee rukne millat pe laakhon salaam

Shere shamsheer zan shaahe khaibar shikan
Partawe daste qudrat pe laakhon salaam

Maahiye rafzo tafzeelo nasbo khurooj
Haamiye deeno sunnat pe laakhon salaam

Mominee(n) peshe fat-ho pase fatha sab
Ahle khairo adalat pe laakhon salaam

Jis musalamaa ne dekha unhe ik nazar
Us nazar ki basaarat pe laakhon salaam

Jin ke dushman pe laa’nat hai Allah ki
Un sab ahle muhabbat pe laakhon salaam

Baaqiye saaqiyaane sharaabe tahoor
Zaine ahle ibaadat pe laakhon salaam

Aur jitne hai shehzaade us Shah ke
Un sab ahle makaanat pe laakhon salaam

Unki baala sharafat pe aala durood
Unki waala siyadat pe laakhon salaam

Shafayi Maalik Ahmed Imaame Haneef
Chaar baaghe Imaamat pe laakhon salaam

Kaamilaane tareeqat pe kaamil durood
Haamilaane Shariat pe laakhon salaam

Gause Aazam Imaamuttuqa wannuqaa
Jalwaye Shaane qudrat pe laakhon salaam

Qutbe Abdaalo irshaado rushdurrashaad
Muhiyye deeno millat pe laakhon salaam

Marde Khaile tareeqat pe behad durood
Farde ahle haqeeqat pe laakhon salaam

Jis ki mimbar huyi gardane auliyaa
Us qadam ki karaamat pe laakhon salaam

Shahe barakaato barakaate pesheeniyaa(n)
Nau bahaare tareeqat pe laakhon salaam

Sayyid Aale Muhammad Imaamur Rasheed
Gule rauze riyaazat pe laakhon salaam

Hazrate Hamza shere Khuda wa Rasool
Zeenate qaadiriyyat pe laakhon pe salaam

Naamo kaamo tano jaano haalo maqaal
Sab mein achche ki soorat pe laakhon salaam

Noore jaa(n) itr majmuaa Aale Rasool
Mere Aaqa e Ne’mat pe laakhon salaam

Zaibe Sajjaada Sajjaad noorie nihaad
Ahmade noor teenat pe laakhon salaam

Be azaabo itaabo hisaabo kitaab
Taa abad ahle sunnat pe laakhon salaam

Tere in doston ke tufail aye Khuda
Bandaye nange khalqat pe laakhon salaam

Mere ustaad maa baap bhai behen
Ahle wuldo asheerat pe laakhon salaam

Ek mera hi rehmat me daa’wa nahi
Shaah ki saari ummat pe laakhon salaam

Kaash mehshar mein jab unki aamad ho aur
Bheje sab unki shaukat pe laakhon salaam

Mujhse khidmat ke qudsi kahe(n) haa(n) Raza
Mustafa jaane rehmat pe laakhon salaam