Aaya Hoon Ban Ke Saa-il Sultan e Do Jahaan
Rehmat Ho Phir Se Maa-il Sultan e Do Jahaan
Izzo Waqaar Dedo Islam o Muslimeen Ko
Mit Jaayain Saare Baatil Sultan e Do Jahaan
Bekas Hoon Naatawaan Hoon Dar Par Main Aagaya Hoon
Mo’min Banaado Kaamil Sultan e Do Jahaan
Maujon Ke Ranj o Gham Mein Kashti Hai Yeh Phansee Hai
Mujh Ko ‘Ataa Ho Saahil Sultan e Do Jahaan
Apni Wilaa Me Mujh Ko Aisa Guma Do Aaqa
Khud Sey Rahoon Main Gaafil Sultan e Do Jahaan
Duniya Ke Shar Sey Mujh Ko Behr e Khudaa Bachaalo
Daaman Me Karlo Daakhil Sultan e Do Jahaan
Ban Ke Gadaa Hoon Haazir Nazr e Karam Ho Naazir
Deedaar Ab Ho Haasil Sultan e Do Jahaan
Jumla Muballigeen Ko Khairaat e ‘Ilm Dedo
Sunnat Ke Sab Ho ‘Aamil Sultan e Do Jahaan
Tehreek Sunni Dawat e Islami Ko Hamesha
Nazron Me Karlo Shaamil Sultan e Do Jahaan
Shaikhain Ka Tasadduq ‘Ilm e Ladunni Dedo
Khashiyat Ho Rab Ki Haasil Sultan e Do Jahaan
Dar Pe Bulaate rehna Bigdi Banaate Rehna
Izzat rahe Yeh Haasil Sultan e Do Jahaan
Giryan Hai Qalb e Shakir kardo Karam Bhi Waafir
Apnon Me Karlo Shaamil Sultan e Do Jahaan