Tum Pe Qurbaan Bulaane Waale
Bakhte Khufta Ko Jagaane Waale
Naar e Dozakh Ka Nahin Khauf Mujhe
Woh Salaamat Hai Bachaane Waale
Koi Pooche Yaa Na Pooche Mujhko
Shaah e Taiba Hai Nibhaane Waale
Garmi – e – Hashr Se Ghabraaye Kyun
Woh Hai Daaman Mein Chupaane Waale
Tere Sadqe Me Meyri Baat Bani
Khoty Sikke Ke Chalaane Waale
Kaif Jannat Ka Milaa Dar Pe Tere
Kyaari Jannat Ki Dikhaane Waale
De Ke Lena Nahi Aadat Teri
Mujhko Jannat Me Bithaane Waale
Hai Mareezon Ki Shifaa Na’at e Nabi
Woh He Burdah Ke Urhaane Waale
Sharbat e Deed Pilaado Aaqa
Jaam e Kausar Ke Pilaane Waale
Ilm e Naaf’i Ki Mile Bheek Mujhe
Rab Ki Ne’mat Ke Lutaane Waale
Hogayi Qabr Munawwar Meri
Rukh e Anwar Ke Dikhaane Waale
Ho gayi Phir Se Mayassar Chowkhat
Mujhko Qadmon Me Bithaane Waale
Ban Gaye Mere Yahaan Bigde Kaam
Tum Ho Roton Ko Hansaane Waale
Kufr Kaafir Se Chutaa Mulk e Hijaaz
Sham’e Tauheed Jilaane Waale
Phir Chalaa Hoon Main Watan Ki Jaanib
Jald Bulwaana Bulaane Waale
Shakir e Razvi Pe Hai Khaas Karam
Kehte Hai Ab To Zamaane Waale