Wasfe Rukh unka kiya karte hain sharhe wash-shamsu duha karte hai
unki hum madho sana karte hain jinko Mehmood kaha karte hai.
Maahe shaq gashta ki soorat dekho kaanp kar mehar ki raj’at dekho
Mustafa pyare ki qudrat dekho kaise ai’zaaz hua karte hain.
Tu hai khursheede Risalat Pyare chhup gaye teri ziya mein taare
Ambiya aur hain sab mah paare tujhse hi noor liya karte hain.
Aye bala be khiradiye kuffar rakhte hain aise ke haq mein inkaar
ke gawahi ho gar usko darkaar be zabaan bol utha karte hain.
Apne Maula ki hai bas shaan azeem jaanwar bhi karein jinki taa’zeem
Sang karte hain adab se tasleem ped sajde mein gira karte hain.
Rif’ate zikr hai tera hissa donon aalam mein hai tera charcha
murge firdaus pas az hamde khuda teri hi madho sana karte hain.
Ungliyan paayi woh pyari pyari jinse dariyaa e karam hain jaari
Josh par aati hai jab gham khwari tishne sairaab hua karte hain
haan yahi karti hain chidiyaan fariyaad haan yahi chahti hai harni daad
Isi dar par shu-tarane naashaad gilaye ranjo ana karte hain
Aastee(n) Rehmate aalam ulte kamare paak pe daaman baandhe
girne waalon ko chahe dozakh se saaf alag kheench liya karte hain
jab saba aati hai Taiba se idhar khilkhila padti hain kaliyan yaksar
phool jaame se nikal kar bahar rukhe rangee(n) ki sana karte hain
Tu hai woh Baadshahe kauno maqaa ki malak haft falak ke har aa(n)
tere Maula se shahe Arsh aiwaa(n) teri daulat ki dua karte hain
Jis ke jalwe se Uhad hai taabaa(n) ma’dine noor hai is ka daamaa(n)
hum bhi us chaand par ho kar qurbaa(n) dile sangee(n) ko jilaa karte hain
kyun na zaiba ho tujhe taaj-wari tere hi dam ki hai sab jalwa gari
malako jinno bashar hooro pari jaan sab tujh pe fida karte hain
Toot padti hain balaaye jin par jinko milta nahi koi yaawar
har taraf se woh pur armaa(n) fir kar unke daaman mein chupa karte hain
Lab par aa jaata hai jab Naame Janaab muh me ghul jaata hai shahde naayaab
wajd mein ho ke ham aye jaa(n) betaab apne lab choom liya karte hain.
lab pe kis muh se ghame ulfat laaye kya balaa dil hai alam jis ka sunaye(n)
hum to unke kafe paa par mit jaaye(n) unke dar par jo mita karte hain
Apne dil ka hain unhi se aaraam saunpe hain apne unhi ko sab kaam
lau lagi hai ki ab is dar ke ghulam chaaraye darde Raza karte hain