Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankhon me
Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko
Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankhon me
Unhe na dekha to kis kaam ki ye Aankhen
Ke Dekhne ki hai saari Bahaar Ankhon me
Nazar me Kaise samaayege phool Jannat ke
Ke bas chuke he Madine ki Khaar Aankhon me
Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi
Ke Us Nigaar ka hai intizaar Aankhon me
Wo Subz Subz Nazar Aa raha hai Ghumbad-e-Subz
Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankhon me
Wahi mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu
Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankhon me
Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankhon me Na Aa jaaye
Ke Phir Rahaa he kissi ka Mazaar Aankhon me
Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne
Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankhon me
Farishto Poochte ho mujh se ke kis ki Ummat ho
Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankhon me
Ye Kya sawaal hai mujh se ke kis ka banda hai
Me jis ka banda hoo hai Noor Baar Aankhon me
Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI
Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankhon me