Madine ki anguthi hai nageena Gause aazam ka
Jahaan me bat-ta hai har soo khazeena Gause Aazam Ka
Mureedi La Ta Khaf ki di tasallai Hum Ghulamo ko
Dubo sakta nahi toofaan safeena Gause Aazam ka
Na jaane kis bina par mushk o amber naaz karte hai
Zara sunghwado un sab ko paseena Gause Aazam ka
Har ik sunni ke ghar me gyarhvi ka jashna hota hai
Wahabi soz hai pyara mahina Gause aazam ka
Qadam mera sabhi waliyon ki gardan par hai farmaya
Qadam aisa to kaisa hoga seena Gause Aazam ka
Muhiyuddin woh aur ye Moinuddin Ajmeri
Mera Khwaja Wilayat ka dafeena Gause Aazam ka
Sare mehshar pukaara jayega yu naam Nazmi ka
Ye Nazmi kaun hai ha ha wahi na Gause aazam ka