Maula Ali Ka Shehzada Mera Khwaja Moinuddin Manqabat Lyrics

Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin 

Tumhari Arfa o Aala hai hasti
Mere khwaja bana mujhko bahishti
Tum aaye hind ke zulmat kade me
Diya imaan mitai but parasti 

Bachalo mai to dooba ja raha hu
Bhawar me aa phasi hai meri kashti
Madad ka waqt hai lillah uthiye
Madad Kun Ya Moinuddin Chishti 

Moine bekasa hai mere Khawaja
Dikha dijiye mujhe Taiba ki basti
Dikha do ab to Taiba ke nazare
Mere Khawaja hai ye aankhen tarasti 

Sada rehmat teri saaya figan ho
Rahe hum par tumhari sar parasti
Mujhe jaam e karam aisa ata ho
Rahu makhmoor phir utre na masti 

Hai manzar khush numa Ajmer ka ye
Yaha din raat hai rehmat barasti
Hai hum par khaas Faizan e Moini
Nahi chal sakti hum par zor dasti 

Chala do ab hume rahe sunan par
Nikalo hum se be amali wo susti
Likhe kya Manqabat Khwaja ki Sayyed
Kaha tu aur kaha Khawaja ki hasti